Kya ajeeb hote hain na hum insan, ke khud apni zindagi ko kitna uljha lete hain, itni mushkil hoti nahin jitna mushkil bana lete hain, bina soche bina samjhe ke yeh to aik anmol tohfa hai jiska pal pal keemti hai, yeh aik amanat hi to hai ke jis Allah ki di hui hai wo jab chahe wapis le le, magar afsos...
