
*A*N*S*O*O*
Main aksar sochti hon yeh aansoo bhi kya cheez hote hain,har morh par sath sath.. Khushi mein bhi sath Ghum mein bhi, Kuch paa liya to bhi sath, Kuch kho diya to bhi humkadam
Kitne mukhlis hote hain na yeh Ansoo, aik aisa sahara jo kadam dar kadam sang rahe,aik aisa sahara ke jiska sath insan ko kiskadar halka sa kar deta hai…. Main to kehti ho ansoo wo humdard hote hain jo sada sath nibhate hain.
Ansoo’on ki pehchan kya hai, kya ho sakti hai bhala ansoo’on ki pehchan
Kuch bhi to nahin, jahan pe bhi hon jiske bhi hon Ansoo wo hain jo sabke mushtarika hote hain, aik rang ke aik tarha ke, koi pehchan nahin ansoo’on ki.. Wo aik song hai na “Ansoo khushi ke ghum ke hote hain aik jaise, In ansoo’on ki koi pehchan nahin hoti” bilqul theek hi to hai, Jab khushi is kadar hoti hai ke dil us khushi ko sambhal nahin pata to ansoo khud ba khud shareek ho jate hain, our jab ghum koi inteha ko pohanch jaye tab bhi ansoo hi sahara dete hain, Yaad sataye kisiki our mil na paye koi to ansoo mehfil band kar ate hain, bebasi mehsoos kare koi our rah na koi dikhe to ansoo rasta ban kar sath hote hain
Insan ki soch se bhi ziyada anmol hote hain yeh ansoo, socha jaye to har jandaar cheez ko ansoo’on ka hi aik tarha se sahara hota hai, kabhi dekha hai kisi patte ko dhal se jab alag karte hain, jab use sakh se torha jata hai, ghour se dekho to nanne munne se paani ke katre dikheinge, wo ansoo hi to hote hain, jo patte our dhaal ko shara dete hain us judai par….. Yeh hum jise barish/barsat kehte hain, yeh Asmaan ke ansoo hi to hote hain jo wo bahata hai, jab uska dil dukhi hota, jab badal garjte hain to wo awaz se ro raha hota hai, afsoos mein dard mein, jab halki halki phuaar lagi hoti hai to wo khushi mein ansoo baha rah hota hai, our har tarf rang se bikhar jate hain jinhe hum phir Rainbow ka naam dete hain
Kitne hi khubsurat se andaaz mein yeh ansoo humare sang sang hote hain, kabhi yeh humari awaz ban jate hain, our wo baat keh jate hain jo hum keh nahin pate, to kabhi yeh humare dost ban jate hain our humara har dard bantne chale ate hain, to kabhi humari khushiyon mein izafa karne mojood hote hain… Koi bichrhta hai to ansoo hath thaame rakhte hain, koi jab judayi samet kar, doori paar karke milta hai to khushi dekh kar ansoo izhaar ko aish paish hote hain, awww Kitne pyare hote hain na yeh masoom nanne munne se ansoo
Main aksar sochti hon kaise guzara ho pata humara inke bina, kitna mushkil safr hota na, socho kitni bebasi mehsoos hoti hai jab dil bhar aye our roya na jaye? kitni takleef hoti hai na, aise lagta hain toot se jayeinge, our jab ansoo sahara ban kar ate hain, to sara dard jate jate apne sang baha le jate hain!
Ansoo’on ki koi pehchan nahin hoti, yeh bas aik anmol our pyara sa tohfa hai humare liye Khuda ki tarf se, aik our wajah Allah ka shukarguzaar hone ki, ab dekho na wo humse kitna pyar karta hai, humara kitna khyal hai us zaat ko ke har tarf se humare liye himmat o housle ke amkanaat zaraye banaye hue hain, hum ab bhi shiwa karein to hue na hum kamakal log….














June 28th, 2008 at 11:20 am
Bohat kam baar aisa hua ke itni khoobsurat tahreer padhne ko mili jo ke itni gehrai mein chali jaye. Bohat hi ache tareeqe se apne bayan kia ansoo’on ka humari zindagi mein hona.. Aur kitna sach kaha ke ye na hote to kya hota.. waise Allah humesha har cheez aur shai ko bilawajah nahi banata aur shayad yehi wajah hei ke humare sab se ache doston mein hum agar ansoo’on ko shamil karein to kabhi akele nahi honge.. khushi mein hon ya gham mein.
*******************************************
Ansoo humein mukamil karte hain, har mousam ke humare sathi :)) And true koi bhi cheez bilawajah nahin bani, koi kaisa bhi insan hai, koi jaisi bhi cheez hai use kisi na kisi maqsad keliye Allah ne banaya hai, bas yeh raaz hum samajh nahin pate… thanx for reading thru and be blessed!
~BholiBhali
July 1st, 2008 at 12:04 pm
Bohot khoobsurat subject aur khoobsurati se bayaan kiya gaya hai….Har pehloo par nazar daali gai hai…Bless u Bholibhali.
Gar ye ansoo na hote to gham aur khushi ka ehsaas nahi hota na hi zindagi main kuch haasil karne ka maza..Ye aansoo hi hai jo humein ehsaas dilaate hai Humaare hone ka…Har achi buri cheez ko mehsoos karne ka jazba ye ansoo bayaan karte hai…Dua hai sab ki ankhein khushi main chhalke nake gham main..Rab ki meher ho sab par ..Ameen.